Loading..

Asli Hip Hop 2.0

Asli Hip Hop 2.0

19

Artists

CHEN-K

Release Date

25 August, 2024

Label

CHEN-K

Copyright

℗ 2024 CHEN-K

Asli Hip Hop 2.0 Official Video

Asli Hip Hop 2.0 By CHEN-K Lyrics

Chen ka career tabah
Kargae pinky do charsi talha
Hip-hop mein Kuch nahi kar Saka
Chen Fame ke liye sab ke peeche para

- Larki rap sun Zara
Kangana ko tune Randi kyun Kaha?
Hype ka bhooka tu hype ka bhooka
Mazhab ki baaten Karke mat paka!

Phir main Kya karun? Sab ko Hilaake dikhaun?
Ya gandd - lyrics mein milaake dikhaun?
Talha ki Tarah kya main charsen phookun
Ya views, emiway ko diss Karke lootun

Ya Nora plastic ke dikhaun gubaare?
Din ratjiss ne chaate bhushan kumaar ke
Main Sach bolun tou haters ki hatt ti hai
Kya Badshah tatti ni hai?

Ajeeeb se hiphop ke nazaare
Kyun mote paande gadhe ko ese judge banaare?
Akheeer likhari iske kyun uthaare?
Kyun ki brand deals inko milenge saare

Ohhh tabhi rappers yeh sar jhukaare
Kyun ki rappers ko rapping se ghar chalaane…
Broooo tbhi mu pe lage inke taale
Likhaari tabhi yeh Commercials bannaare
Saare rappers yeh hogae commercial
Honey ke shout-out pe proud uchalkar
Bewakoof Politics yeh smjhte nahi bandar
Honey ke share karen usey hip-hop ke andar

Kaala dhan kamaake respect ke yeh bhooke
Per katar hiphop in wannabes pe thooken
Honey, Badshah, ashleeeelta se mashoor the
Yaqeen nahi kisi ko mera Tou dilin se poochle

Villian main hip-hop ka, gaaliyan commenton mein
Parde utharaha hun kyunki main farebon se
Bhoolgae Khuda ko yeh, thooken mazhobon pe
Allah bhagwaan rabb dhoonden shaitaanon mein

Gaanon mein sunte nahi gandd ya fahashi
Lyricism inki rabb se na farmaani
Bachi baazi, Nasha, ya ego badmaashi
Inke top 5 haraam khor aur sharaabi

Rabb ki baaten karun tou hater wo cheekha
Mazhab ki baaten na kia kar hoja seedha
Mazhab se TU itna hee chirta hai Tou Ghar
Mein pari kyun tere Guru granth, Quran ya Geeta?

Meri Likhai Compare Karen do charsion se
Rabb ke Sipaai ko milaaen patli lakriyon se

Dono Fame ke bhooke chupe hip-hop ki Wardiyon mein
Nazey ko diss Karen, Jo Sacha likhaari hai
Ghamand aur guroor in tinkon pe haavi hai
Chirya tapra hai sunke Kaun Talha
Wohi talah Jo bana nahi Saka -

Nazey pe diss poori, baat pe itni si
Dar ki Baari aae Tou TU bheegi billi
Zaahir hai, Dar se phat ti har kisi ki
Dar Tou nikaalde bohemia ki pishi...

Jhuke na sar Aage kisi insaan ke
Nadir utaardega jhooton ki khaalen
Nadir ke bol rabb ki talwaar hai
Nadir ke bol hai

Ali ki taur hun main, Jhoot ki maut hun main
Ek nahi, 100 hun main, Pakistani Qaum hun main
Puche Jo Kaun hun main, Asli hip-hop hun main
Dono talhaaon ka sab se bara khauf hun main..

Krishna Collab mili Chen ki waja se
Badshah raftaar ne diye share dabaake
Career Kya banta dono ka warna yeh, yeh
Nashon mein, charson mein, kab ke marjaate..

Jhooti success duniya ko dikhata ni
Apne fans ko charsen main pilaata nahi
Bechke qalam bhara Ghar ka kiraya nahi
Rap ko kabhi main ne career banaya nahi
Rap ko main ne kabhi main ne career banaya nahi
Rap ko kabhi main ne career banaya nahi
Alhamdulillah
Jhoot ka zarra bhi kaaghaz pe laaya ni

Maut aane ke baad - awaam - asli likhaariyon ki karey qadar
Jo sare aam - jhoot se larain, Rabb ese jihaadiyon pe Karay Fakhar
Farebi, beghhairat, jhooti zabaan, sath dajaaliyon ke kharey chawal
Nadir Maidaan pe jab - Tou sab - HARAMIYON ka karey Hashar

ka sochkay Yunus ki taangen aaj bhi kaanptin
In dono ka baap main, Meri wajaa se baney per awaam yeh nahi jaanti
Puraanon se poochlo bataenge wo qisse jab mashoor main inse bhi
Puraanon se poochlo jaake asal Urdu Rap shru kisne ki..

Apni aur emiway ki shakal main dekhra hun inki thumbnail ki tasweeron mein
Kehte hai hype ka bhooka main, tbhi diss karun larun in do keeron se
Tanqeed Karen Kutte yeh bhaunke, kamata hun main Karke baaten Islam ki
Han likhta ni charson pe panties pe, pepsi kfc pe dono yeh laanti

Falastinion ki shahaadat ke baad bhi yeh khaate yahoodi ka chaara
Bus karde tabah Inka so called career yeh saara
Jo kufr aur gandd ke daur mein ruhen jagara bhae kaise wo hara?
Badkirdaar, yeh koi itne Munaafiq thooke Mera inpe

Shukar karun main rabb ka, bardun Ghar ka, waqt per kiraya
Alhamdulillah, para Ghar mein jitna bhi kuch pehleee se sab ziada
Rap Likhai, kala hamesha se mere liye Sach bolne ka Zariya tha
Smjh nahi aati kyun tapta mere pe Raaj Jones ya Rohan cariapa

Rap bot, Rohit ko salaam Mera, Biased hue bghair Jo dekhen kaam Mera
Gadhe Jo baken Chen k likhaari rapper ni, hip-hop news mein aag ki Tarah kyun Naam Mera?
Paigaam Mera: agar yeh Likhai nhi, Tou poora yeh hip-hop jhoota nihaaeti
Itni mashoori ke baad bhi Dikhaai ni deta ke Chen abhi tak bikaa hee nahi

Listen Asli Hip Hop 2.0 By CHEN-K

You can Select Any Platform to Listen Full Song. If you want to listen Preview. Click Here

Platform Link
Spotify Listen on Spotify
Shazam Listen on Shazam
AmazonMusic Listen on AmazonMusic
YoutubeMusic Listen on YoutubeMusic
AppleMusic Listen on AppleMusic
Deezer Listen on Deezer
Tidal Listen on Tidal
Napster Listen on Napster
Amazon Listen on Amazon
Youtube Listen on Youtube
Qobuz Listen on Qobuz
Anghami Listen on Anghami
TiktokMusic Listen on TiktokMusic
QqMusic Listen on QqMusic
Tiktok Listen on Tiktok
Kkbox Listen on Kkbox