Nafs e Ammara

Artists : CHEN-K

Released on : 14 September 2020

Duration : 4 min 22 seconds

Label : CHEN-K

Copyright : CHEN-K

20
0

Nafs e Ammara Lyrics






Rakhi Saawant se bhi ziada badnaam hai

Yeh kurta shalwaar tu bahar kyun ni pehenta?


Yeh loag bolrahe hain tu munaafiq Firawn sa!
Lautja gunaahon mein lautja, kuch nahi karskta tu is gandi qaum ka


Khaal mеin siyaahi, safaid baal wah..
Tu khud bhi ghulam maghribi riwaaj ka
Industry ka dushman tu dushman Dajjal ka
Per Ulma ka fatwa tu kaafir samaaj ka

Huh gandi ... Teri bhi tou ek bandi
Tujhe bhi tou lagti hai bhook badan ki
Badan ki bhook tou zarurat ek mard ki
Phir tune yeh kesi rakhdi paabandi???
(Adhaan Sound) Shaam Asar ki
Kidhar jaraha hai kya main ne baat khatam ki?!
Banadunga teri jannat main dozakh si
Zaban yeh tere pakke dushman ki..

Main teri nas nas mein, main tere khuaabon mein
Main tere raste mein, main teri yaadon mein,.
Main teri nas nas mein, main tere khuabon mein
Main tere kaagaaz pe, main teri yaadon mein


Dekh kaise badlihaaz se tere ghar waale!
Bhoolgae lihaaz teri bhi umar ka yeh!
Taar kya raha hai tu in sab ka sar phaar de!
Ya rakh ke chehre pe iske thappad maarde!
(Slap) Yousuf waali kismat..
Thappad maarke kabhi milti ni izzat..
Apnon se Nadir - ese tou chirr matt
Paise phekde khatam mushkil wakt..

Per izzat tujhe inki kyun chaahiye?
Jinki nafrat tujhe saaf dikhai de
Tabah jo tujhe karne ka sochen tanhai mein
Jataake phekden madad saari khaai mein
Huh koi bhi madad muft mein ni karta
Koi bhi yeh dozakkh wozakh se ni darta
Kya nikah kya Quran kya pardah?!
Purani soch teri, zamana beparwah!!

Kabhi tu tapta hai, Roke, kabhi tu hasta hai
Tasweeron mein inhe tu pagal sa lagta hai
Kabbi kambakht sa kabhi dilon mein basta hai
Tujhe smjhna - Kashmir wala masla hai!!!!
Asla hai dekho iske haathon mein asla hai!
Isko na sunna yeh PAKISTANI kambakht sa hai!!!
Views mashoori ke liye yeh tarasta hai!!!
"Phir khulla kyun yeh Modi ko dehshat gard bakta hai......??"
Agar tujhe million views pe aage tikna hai
Tou qaum ko bhoolja inpe kyun gaane likhta hai??
Inhe koi ni parwah inhe naa yeh dikhta hai
Ke aaade se ziada gaane daawat e zina hai
Akela tu kuch ni karskta yeh wakti mashoori ke din do chaar zara gin jaake
Aina dekh aur pooch apne aapse ke teri aukaat kia mere bina yeh??


Main teri nas nas mein, main tere khuaabon mein
Main tere raste mein, main teri yaadon mein
Main teri nas nas mein, main tere khuabon mein
Main tere kaagaaz pe, main teri yaadon mein

Nafs e Ammara Official Video