22
CHEN-K
23 September, 2024
CHEN-K
CHEN-K
Ya tou mai, ya sheher yeh jahil saara
Matlab haqeeqat ka baatil bataara
Meri Maa se dushman tak ko meetha lage khaara
Jisne kamyabi paali, jo jeeta lage haara
Inhe Khai kohay tur lagay
Dhool mitti inhe noor lagay
Maa baap mazhab par moot rhe
Na mehram bache thook chakhain
Tawaifen inhain hoor laagay
Zaani biwi ka roop lagay
Allah tak pohanch inki, par sitarai pooj rahay
Tabhi duniya sai katke, rahon sab kai tareeqon sai bachke
Khush mein, is chotay sai ghar mein
Yeh pouchain kirae ka ya apna?
Nikamay sab yeh saare dar mein
Loag kya kehenge inka mazhab yeh
Mujhai kaise smjhain kai mitti kai matkai
Hasad azzazel ki smjh jo nhi sktai
Jo sajde smjh nhi sakay farishton ke
Juda ruh jism inka hisson ma
Ankhay bharain kufr farebi qiston se
Sabaq yeh dhonde jhoote qisson mai
Faida lootain ya sache rishton se
Hawas or lalach inkai jismon ma
Sheher chorde Nadri, mujhai meri chatti hiss bolay
Yеh bolay sheher ki abadi kufr, dajal jhoot mein rеhne ki aadi
Aur tumhain bhook ana mardon wali
Chand mai suraj ki aag lagadi
Betiyan parwarish mai aisi maa ki, jo smjha nhi saki kya kamyabi
Nazrain maardon ki jhuke na zara bhi
Kamana zarrori bhade mai gyi shadi
Milai gi azzadi, tu kapre utar
Ghair mardon ko de shohar ka khumar
Bete baap ko bhi ghar gaari ka bhukhar
Dafa kar eman, tu hasieet sudhar
Khagya zameer mardon ka kuffar
Zameen meri lash ki tarah badhbhodar
Sarai haspeetal yeh tijarat dukan
Qawaneen o qawaid ki rishwat khurak
Chup krwata nhi hiss ya zameer ko
Chaakon par chakai
Jhoot pe chura khop rha hon
Lakkhon kai chaton pe maron mai daake
Gaanon mai laake sach akal khol rha hon
Baaton pe batain
Dimaghon pe taale
Lashon ke naree
Mazhab inpe thoop rha hon
Jisko jo karna hai, karai
Maray meri tarf sai
Mai tou bas yahan bol rha hon
Kya bandook rakhi maine sar pe terai?
Ya agaya mai ghar mein terai?
Jo mein bol rha, sach hi tou bol rha hon ke
Teri dil ko hawas bhar bhar ke derai
Dimag ko ganda karke bharte jeben
Ana mayoosi charsein, Hennessy de rhe
Tujhai jo zinda dikhai den
Marke rehte
Passendeda kirai gattar ke terai
Likhari kalakar yeh jo saare
Rehte the meri or teri tarah ye
School sai ye rooz parh warh ke atai
Phir khate roti daal apni maa sai
Mashoor sai koi bhi, tu rapper utha le
Thora sa tang wo ghar ke halat sai
In totai howe taaron kai mazi mein
Burai halatoon sai paida hoti kalaa ye
Halat apne raps ke zariye btate
Aur mard hum saray aik hi tarah kai
Larkon ko inki rap mein dikhai apni zindgi
Sunte inko din raat yeh
Views pe views, mashoor inke gaane
Revenue rappers mein lalach jaga de
Mashoori tahezeeb mazhab bhulwade
Dikhain tou ye desi, par kaalon ko chapen
Jab in mujrimon pe karon hamla
Tujhe pta bhi hai ke kyun tu tapta hai?
Kyunkai haarai howe larkon nikamon ko
Haram khooron ko brand smjhta ha
Moosqi mai chuhpe tu alfazon ko sun
Tera passendeda kya bakta he?
Phir tujhe tera ye idol bhi suar lge ga
Jo hagta ha wohi yeh nigalta ha
Pakhana ye fans ko khilatai
Dikhatai modelain naagi adhi
Phir hawas walon ke views pr itraake
Kamake gand kehte kamyabi
Agar koi sach jhoton ko chakade
Chillade kai tupac nai sab yai kiya nhi?
Bara tu hum sab ko aya ha sikhane
Chorh de rap, tu musalman itna hi
(Ye munafiq he.)
Haram he moosiqi
(Haram hai.)
Haram yeh, halal woh, halal yeh, haram wo
Ek safah bhi tarjuma ka padha nhi
Chalen zuban wo
(Yeh illuminati hai yeh.)
Google sai chapain hidesein
Den lecture, inke bas kaam do
Subhaana rabi yal ala ka matlab tak nhi pta is awam ko
Theek hai, showba haram mera
Samajh lo phir Muhammed Ali mein
Yeh moosqi rap cheenh longa iblis se
Munafaqat sai muhhabat kari mein ne
Illuminati haan, fitna main
Kabhi kabhi tou mujh sai dajjal milne ata ha
Sawal mera tujh sai, agar main munafiq tou
Tu kya idher apni maa denai aya ha?
Chal terai mutabiq maan lia
Kalakari mai hoti koi hadd nhi
Phir kutte ki nasal bhonke kyun?
Tu raps main latai mazhab nhi
Sab nhi relate kr pa rhe, yeh terai rap gaane sai
Jaise main mar rha hon, in sab ko sunane main
Karen relate nhi, tou mai kya kron bhai, inke dilon mai rabb nhi
Zubaan meri gusse mai chalai, tou kabhi kabar
Mai bhi kar leta hon baadtamezi
Phir mout ki parwah bhi nhi hoti
Jaise mein koi bahadur sai faalesteni
Baatil ka qatil main, jhooton mai shamil nhi
Qurbaani kardi iss zindgi ki
Dua kar nadir mashoor na hojayai
Tabbahi kar dega ye industry ki
Banata rahu ga shahkar
Phir gadhon ko diss kron ga baar baar
Takke jab mein rabb ke loutonga daarbar
Discography sai bhi karon ga maar dhar
Ye haar jeet wala scene nhi ha
Samjhenge kaise charhi inki Hennessey?
Karain gai yeh gayab, career tabah uska
Jisne kharab krdi inki legacy
Jab mein bolon do charsi, dimag mai konsa naam arha?
Jab nepotism beeber kholay muu tou lagta hai, jaise
Koi bacha gaa rha ha
Karo mushhoor, merai dushmanon ko
Mera zaameer bhi khud yehi chah raha ha
Dekh kaise gand dikhae baigair
Feed pe teri mera kamal kaam arha ha
(Smjha?)
Ye singers aur wanna be rappers, tou pehla mera qadam
Meri pehli yeh seedhi hain
Agay models aur actors, politicians pushan kummar, pee series hai
Industry yeh puri haqqiqat badalke, sajake gunhaon ko jeeti ha
Diss krne ki wajah meri seedhi ha
Kyun ke in saaron ka kaam iblisi hain
Dekhain ashqui bachain movies main
Shadi se pehlai banay ye joray
Phir dukhi gaane, depression se bharay, banake totay dilon ko ye toray
Kuch nhi kar skta inka tu nadir
Jitna bhi machale rolay
Tou mai kuch krna bhi nhi chata
Mai bas maza lon ishq-e-haqqeqi ka hokay
You can Select Any Platform to Listen Full Song. If you want to listen Preview. Click Here
Platform | Link |
---|---|
Spotify | Listen on Spotify |
Shazam | Listen on Shazam |
AmazonMusic | Listen on AmazonMusic |
YoutubeMusic | Listen on YoutubeMusic |
AppleMusic | Listen on AppleMusic |
Deezer | Listen on Deezer |
Tidal | Listen on Tidal |
Napster | Listen on Napster |
Pandora | Listen on Pandora |
Amazon | Listen on Amazon |
Youtube | Listen on Youtube |
Qobuz | Listen on Qobuz |
Audiomack | Listen on Audiomack |
Anghami | Listen on Anghami |
TiktokMusic | Listen on TiktokMusic |
Netease | Listen on Netease |
QqMusic | Listen on QqMusic |
SevenDigital | Listen on SevenDigital |
Tiktok | Listen on Tiktok |
Kkbox | Listen on Kkbox |