• Alternate Text
  • Loading

King & Raftaar - WARCRY Lyrics

King,Raftaar-WARCRY Lyrics

[Intro: King]

King

[Pre-Chorus: King]

Woh gulliyon se nikal ke Raja bana

Woh ghar se thaan ke gaya tha karunga mai kuchh toh bada

Duniya wale tokte rahe, woh sunta ab kisi ki hai kahaan (You know, fuck this shit)

[Chorus: King]

Mai sach kahunga toh kadwi lagegi

Paisa jo nachega haatho pe duniya bas teri sunegi

Ye sach ki tu bhi marega aur woh bhi maregi

Jo sab hi reh jaana yahaan pe, shaanti kisse milegi?

Ab bata tu bulleya, maine kitne paap kiye

Hisaab hi nahi, maine kitne saaf kiye

Gareebi mein jiya aur kitne saal diye

Ab puchhoge mujhse ke kya hai sahi aur kya hai galat but honestly, don't give a—

[Verse 1: King]

Aankhein khuli meri duniya mein tabse lada is duniya se

Shayad koi Raja naa hota jo dab ke jiya hota laalach ki duniya mein

Ye waise to naam hi hai par karna chaahta aisa kuchh is duniya mein

Ke phir se naa soche koi chhote ghar ke naa ban sakte desh ki buniyadein (Buniyadein)

Mai kya karu jo khwabon ko Raja ne maarna seekha nahi hai (Seekha nahi hai)

Andar mein mere ek dar hai jo abhi bhi duniya ko dikha nahi hai (Dikha nahi hai)

Mai kuchh is hisaab se likhta hu zindagi aur mere beech ki ye baate

Isme hai sab kuchh likha par harna kabhi bhi likha nahi hai (Likha nahi hai)

[Pre-Chorus: King]

Ye meri galti hai, mai ye bhi janta

Jo khudse naa bana, mai usko kuchh ni manta

Bina lakshya ke jiya jo banda, hota ni kisi bhi kaam ka (You know, fuck this shit)

[Chorus: King, King & Raftaar]

Mera baba kehta tha mauke bhi honge

Jahaan pe gussa bhi hoga sar pe aur dange bhi honge

Jo sach hi tu kahega toh jalne wale bhi toh honge

Toh bas maar ke gusse ko lag jana lakshya pe sarfira

Bata tu bulleya, maine kahaan kami rakhi?

Jo seekh tune di, maine panno pe likhi

Mera dada mit gaya par baat amar rahi

Jab tu likhega jaake apne haatho se zindagi, chhodiyo naa koi kami

[Verse 2: Raftaar]

Woh dhoopo mein tap ke bana, nange paon woh race'on mein bhag ke bana

Usne haq se hawa badli tabka badha tab woh baap ke pairo ke takhte bana

Ladke luck se bana, ladka haq se bana, jeeta mehnat aur dardo ko chaske bana

Dehi maare toh khaata woh chura-chana, ab woh auro ko deta hai nakshe bana

Maanjhe se kaate jo gudde the saste woh Manjhi sa kaate pahado mein raste

Jo pahade padha phir akhade khada, uske kandhe the chhote par bhaari the baste

Ye bandar bhi dekhe madari pana, zimmedari le ghume, sawari bana

Cycle ko tu bhi Ferrari bana, chahe khanjar se kismat ki dhaari bana

[Pre-Chorus: Raftaar]

Tu bas kalam utha, ye taaj hai tera (Tera)

Mai bolu tujhko raaj kyuki raaj hai tera

Duniya walo ko de duniya, apna khudka tu jahaan de bana (King, get that shit)

[Chorus: Raftaar]

Tu sach kahega toh teri lagegi

Seenchega jhooth ka paudha toh meethi naa beri lagegi

Tu bachi ye jung ladega, kachehri lagegi

Haath jo kholega, bolo ki boli bhi teri lagegi

Bata tu bulleya

Maine itne vaar sahe, nishaan bhi nahi

Tera beda jo paar kare woh deewangi meri

Saare saanpo ko maaru pare

Ab puchhoge mujhse ke kya hai sahi aur kya hai galat, honestly I don’t give a—

[Verse 3: King]

Ghar pe tha patti ka dabba aur dabbe ke andar ek chaabhi dabi thi

Dekha jo gaur se maine toh dabbe ke upar bhi dhool hi jami thi

Meri maa ne kaha, Leke aa baksa, keemti kuchh cheezein rakhi thi

Woh kone padi ek photo purani aur ek ghadi, shaayad yaadein judi thi

Mai puchha, Ye kaun hai photo mein? Jo dikh raha abhi zinda nahi hai

Bataya gaya mujhe naam aur bola ye sadharan banda nahi hai

Naam Lahori, Sikandrabad se jade bhi teri judi hai

Ye woh hai jo tere pita ji ko paal, bada kiye, roti bhi inhi ki di hai

[Pre-Chorus: King]

Mai kehna chahti hu ke din ek jaise nahi rahenge sada

Ye ghadi batati bas waqt chahe banda ho jaaye jitna bada

Tu bhi dekhega nazaare kaun hoga tere saath mein khada (You know, fuck this shit)

[Chorus: King]

Sun le Raja, pehle ye duniya hasegi

Tujhe girana bhi chahegi niche aur kami ginegi

Ye sach hai tu jo likhega baate woh hoke rahengi

Toh sach hi keh jaana saara, naa baad mein khaak bachegi

Ab bata tu bulleya, mujhe zindagi kyu ye di

Tune kaha se shuru kari? Aur kaha ye aa gayi?

Pehle kitna darta tha, ab kisi se darta nahi

Pakad ke chal raha jo dor tune di

Ab bata tu bulleya, maine kitne paap kiye

Hisaab hi nahi, maine kitne saaf kiye

Gareebi mein jiya aur kitne saal diye

Ab puchhoge mujhse ke kya hai sahi aur kya hai galat but honestly, don't give a fuck

King,Raftaar-WARCRY Official Video

WARCRY On Audio Platforms

Sidebar

Latest Songs

newsletter

Get hindirap daily newsletter on your inbox.